URDU SHAYARI - BEST OF URDU SHAYARI

The all-new best and Urdu Shayari – उर्दू शायरी  are here. Read the Shayari with the deep meaning and understand the deepness of love, hurt, and life. Read and share it on Whatsapp, Facebook, and Instagram.

Written about love, life and heartbreak, here are a few gems of Urdu shayari to stir some of your deepest feelings.    

BEST OF URDU SHAYARI 
1.  Aankh Ashqon Se Khoonbaar Hui Jaati Hai
Zindagi Baes-E-Aazaar Hui Jaati Hai

2. Hamara Milna Bhi Ab Khawab Lagta Hai
Hamaare Darmiyaan Judai Deewar Hui Jaati Hai

3. Na Jaane Vasal Ki Shab Kab Aaye Gi
Ab To Saans Bhi Dashwaar Hui Jaati Hai

4. Main Isey Kaise Zindagi Keh Doon
Jo Basar Tere Bagair Hui Jaati Hai…

URDU SHAYARI ON EYES 

5. Chhalak Raha Hai Kya Aankhon Ke Raste,
Machal Raha Hai Jiya Aankhon Ke Raste,

6. Beshak Nazrein Khafa Ho Gayi Hamse,
Pyar Tumne Kiya Aankhon Ke Raste,

7. Barsat Mein Aalam Kuchh Aur Hota Hai,
Bahti Hai Hawa Aankhon Ke Raste,

8. Zinda Hai Sapne Bezaan Aankon Mein,
Kitna Pyar Kiya Tumne Aankhon Ke Raste,

9. Meri Tadap Ka Khayal Bhi Na Raha Unko,
Unki Mahak Aayi Mujhko Aankhon Ke Raaste,

10. Pyar, Wafa, Ishq, Armaan Eh Khuda,
Sabhi Kuchh Seekha Unse Aankhon Ke Raste…

URDU SHAYARI MOHABBAT 

28. Jab Se Uske Husan Pe Padi Hai Nazar
Main Ho Gya Hoon Apni Hasti Se Bekhabar

29. Meri Duaon Ka Kuch Aisa Hua Hai Asr
Mujhey Mil Gya Hai Mere Khawabon Ka Pekar

30. Uske Pyar Ne Mujhe Zare Se Aaftab Bana Diya
Main Ban Gya Hoon Qatre Se Samundar

31. Mere Jism Mein Wo Basi Hai Rooh Ki Tarah
Aisa Ashyana Chhod Kar Wo Jaye Gi Kidhar

32. Pyar Ki Raahon Mein Sambhal Kar Chalta Hoon
Suna Hai Yeh Raaste Hein Bade Purkhatar

URDU SHAYARI IN ENGLISH TEXT 

11. Maayus Dil Mein, Dil-E-Nakaam Ho Gaya,
Rooksat Ho Duniya Se Mujhe Aaraam Ho Gaya,

12. Main Har Tarah Se Doshi Ho Gaya,
Galati Ki Kisi Aur Ne, Naam Mera Ho Gaya,

13. Is Tashanagi Ki Aag, Usi Se Bujhi,
Main Paani Peete-Peete, Sharabi Ho Gaya,

14. Aashiq Ki Kamzori Ki Kuchh Intehaan Nahi,
Gaya Wahan Jahan Is Jeewan Ka Islaam Ho Gaya,

15. Dil Mera Bataab Hai Uske Pyar Ke Liye,
Aankhen Pyala Ho Gayi Dil Jaam Ho Gaya,

15. Rahta Hai Apna Mukaddar Bhi Apne Saath,
Wahan Bhi Pyar Ke Maaron Mein Shamil Ho Gaya,

16. Duniya Mein Har Mash-hoor Aadmi Paise Ka Gulam Hai,
Lekin Woh Toh Aapka Gulam Ho Gaya,

17. Maayush Dil Mein Dil-E-Nakaam Ho Gaya,
Rooksat Ho Duniya Se Mujhe Aaraam Ho Gaya…

URDU SHAYARI ON LIFE 

18. Khwab Ke Gaon Mein Pale Hain Hum
Paani Chhalni Mein Le Chale Hain Hum

19. Chhaachh Foonkein Ki Apne Bachpan Mein
Doodh Se Ki Trah Jale Hain Hum

20. Khud Hain Apne Safar Ki Dushwari
Apne Pairon Ke Aable Hain Hum

21. Tu To Mat Keh Humein Bura Duniya
Tune Dhala Hain Aur Dhale Hain Hum

22. Kyun Hain Kab Tak Hain Kiski Khatir Hain
Bade Sanjeeda Mass-ale Hain Hum…

23. Dil Mein Mehak Rahe Hain Kisi Aarzoo Ke Phool
Palkon Pe Khilnewale Hain Shayad Lahoo Ke Phool

24. Ab Tak Hai Koi Baat Mujhe Yaad Harf-Harf
Ab Tak Main Chun Raha Hoon Kisi Guftagoo Ke Phool

25. Kaliyan Chatak Rahi Thi Ki Aawaz Thi Koi
Ab Tak Sma-Ato Mein Hai Ik Khushguloo Ke Phool

26. Mere Lahoo Ka Rang Hai Har Noke-Khar Per
Sehra Mein Har Taraf Hai Meri Justazoo Ke Phool

27. Deewane Kal Jo Log The Phoolon Ke Ishq Mein
Ab Unke Daaman Mein Bharein Hain Rafoo Ke Phool…









Post a Comment

Previous Post Next Post